Thursday, May 03, 2012

"Der Lagi Lekin"

Der lagi lekin, maine ab hai jeena seekh liya
Jaise bhi ho'n din, maine ab hai jeena seekh liya
Ab maine ye jaana hai, khushi hai kya, gham kya..
Dono hi, do pal ki hai ruttein
Na yeh thehre na rukein
Zindagi do rangon se bane
Ab roothe, ab mane
Yehi toh hai, yehi toh hai, yahaan
Der lagi lekin, maine ab hai jeena seekh liya
Aansuon ke bin maine ab hai jeena seekh liya
Ab maine, Yeh jaana hai kise kahoon apna
Hai koi, jo yeh mujh se keh gaya
Yeh kahaan tu reh gaya
Zindagi toh hai jaise kaarvan
Tu hai tanha kab yahaan
Sabhi toh hai, sabhi toh hai yahaan
Koi sunaaye jo hansti muskurati kahani
Kehta hai dil, main bhi sunoon,
Aansoo mein moti ho jo kisi ke nishani
Kehta hai dil, main bhi chunoon
Baahein dil ki ho baahon mein hi
Chalta, chalun yunhi raahon mein
Bus yunhi, ab yahaan, ab wahaan
Der lagi lekin, maine ab hai jeena seekh liya
Aansuon ke bin maine ab hai jeena seekh liya
Hai koi, jo yeh mujh se keh gaya
Yeh kahaan tu reh gaya
Zindagi toh hai jaise kaarvan
Tu hai tanha kab yahaan
Sabhi toh hai, sabhi toh hai yahaan

1 comment:

Rucha said...

I was singing this song in the car the very moment you were writing this, I bet!

The irony of the relationship between technology and idleness

One of the purposes of everyday technology (mobiles, laptops, etc.) is to make us more efficient. But we rarely use our 'freed up&...