Thursday, September 03, 2009

repeat

Kya kare zindagi isko hum jo mile,
Iski jaan kha gaye, raat din ke gile
Raat din gile…
Meri aarzoo kamini,
Mere khwab bhi kaminey,
Ek dil se dosti thi, yeh huzoor bhi kaminey,
Kya kare zindagi isko hum jo mile,
Iski jaan kha gaye, raat din ke gile…
Kabhi zindagi se maanga, pinjre mein chaand la do,
Kabhi laanten deke, kaha aasmaa pe taango
Jeene ke sab kareene the hamesha se kaminey,
Kaminey kaminey kaminey kaminey,
Meri daastaan kaminey, mere raasten kaminey,
Ek dil se dosti thi, yeh huzoor bhi kaminey…
Jiska bhi chehra cheela, andar se aur nikla,
Masoom sa kabootar naacha to more nikla,
Kabhi hum kaminey nikle, kabhi doosre kaminey,
Kaminey kaminey kaminey kaminey,
Meri dosti kaminey, mere yaar bhi kaminey,
Ek dil se dosti thi, yeh huzoor bhi kaminey…

~ Kaminey, from Kaminey
--------------------------------------------------------
Thode bheege bheege se thode nam hai hum,
Kal se soye voye bhi to kam hai hum.

Thode bheege bheege se thode nam hai hum,
Kal se soye voye bhi to kam hai hum.
Dil ne kaisi harkat ki hai,
Pehli baar mohabbat ki hai,
Aakhiri baar mohabbat ki hai,
Pehli baar mohabbat ki hai,
Aakhiri baar mohabbat ki hai…

Aankhein doobi doobi si surmayee madham,
Jheelen paani paani hai bass tum aur hum,
Hmmm baat badi hairat ki hai,
Pehli baar mohabbat ki hai,
Aakhiri baar mohabbat ki hai

Hmmm khawab ke bhoj se, kapkapati hui,
Halki palkein teri yaad aata hai sab,
Tujhe gudgudana… satana yuhi sote hue,
Gaal pe teepna… meechna bewajah besabab.

Yaad hai peepal ke jiske ghane saaye the,
Hum ne gilehri jhoothe matter khaaye the,
Yeh barqat unn hazrat ki hai.

Pehli baar mohabbat ki hai,
Aakhiri baar mohabbat ki hai

~Pehli baar mohabbat ki hai, from Kaminey
--------------------------------------------------------
Ummm hmm umm hmm
Ummm hmm umm hmm

Tune jo na kaha
Mein woh sunta raha
Khamakha bewajah Khwaab Bunta raha

Tune jo na kaha
Mein woh sunta raha
Khamakha Bewajah Khwaab Bunta raha

Jaane kiski humein lag gayi hai nazar
Is Shehar mein Na apna tikana raha
Koi chaht se na ab apni chalta raha

Khamakha bewajah Khwaab Bunta raha
Dard phele se hai jyaaada
Khud se phir yeh vaada
Khamosh Nazrein Rahein Bezubaan

Abb Na pehli si baatein hai
Bolo to Lab thartharatein hai
Raaz yeh dil ka na ho baiyan
Hoga na ab asar humpe nahin
Hum safar mein to hai Humsafar hai nahi

Door jaata raha Paas aata raha
Khamakha bewajah Khwaab Bunta raha

Aaya woh phir Nazar aise
Baat chidne lagi phir se
Aankhon mein chubhta kal ka dhuan

Haal tera na humsa hai
Is khushi mein kyon gumsa hai
Basne laga kyon phir woh jahan
Woh jahan dur jis se gaye the nikal
Phir se aankhon mein karti hai jaise pehal

Lambha beeta hua ,Dil Dukhata raha

Khamakha bewajah Khwaab Bunta raha

Tune jo na kaha
Mein woh sunta raha
Khamakha bewajah Khwaab Bunta raha

Jaane kiski humein lag gayi hai nazar
Is Shehar mein Na apna tikana raha
Koi chahat se abb apni chalta raha

Bhuj gai Aag thi Daag Jalta raha...

~Tune jo na kaha, from New York

No comments:

The irony of the relationship between technology and idleness

One of the purposes of everyday technology (mobiles, laptops, etc.) is to make us more efficient. But we rarely use our 'freed up&...