Monday, June 15, 2009

"Yeh Duniya Agar Mil Bhi Jaaye"



Yeh Mehlon, Yeh Takhton, Yeh Taajon Ki Duniya,
Yeh Insaan Ke Dushman Samaajon Ki Duniya,
Yeh Daulat Ke Bhookhey Rawajon Ki Duniya,
Yeh Duniya Agar Mil Bhi Jaye To Kya Hai.

Har Ek Jism Ghayal, Har Ek Rooh Pyaasi,
Nigahon Mein Uljhan, Dilon Mein Udaasi,
Yeh Duniya Hai Ya Aalam-e-Badhawasi,
Yeh Duniya Agar Mil Bhi Jaye To Kya Hai.

Yahaan Ek Khilona Hai Insaan Ki Hasti,
Yeh Basti Hai Murda Paraston Ki Basti,
Yahaan Par To Jeevan Se Hai Maut Sasti,
Yeh Duniya Agar Mil Bhi Jaye To Kya Hai.

Jawaani Bhatakti Hai Badakaar Ban Kar,
Jawaan Jism Sajtey Hain Bazaar Ban Kar,
Yahaan Pyaar Hota Hai Byopaar Ban Kar,
Yeh Duniya Agar Mil Bhi Jaye To Kya Hai.

Yeh Duniya Jahaan Aadmi Kuch Nahi Hai,
Wafa Kuch Nahi, Dosti Kuch Nahi Hai,
Yahaan Pyaar Ki Qadr Hi Kuch Nahi Hai,
Yeh Duniya Agar Mil Bhi Jaye To Kya Hai.

Jala Do Isey, Phoonk Dalo Yeh Duniya.
Mere Saamne Se Hata Lo Yeh Duniya,
Tumhari Hai Tum Hi Sambhalo Yeh Duniya,
Yeh Duniya Agar Mil Bhi Jaye To Kya Hai?

~Pyasaa

No comments:

The irony of the relationship between technology and idleness

One of the purposes of everyday technology (mobiles, laptops, etc.) is to make us more efficient. But we rarely use our 'freed up&...