Tuesday, December 30, 2008

"Kaise Mujhe"

(listen)

(Ho…)

Kaise mujhe tum mil gayi
Kismet pe aaye na yaqeen
Utar aayee jheel mein
Jaise chaand utarta hai kabhi
Houle houle dheere se

Gunguni dhoop ki tarah se tarang mein tum
Chooke mujhe guzri ho yun
Dekhoon tumhe ya main sunoo
Tum ho sukoon tum ho junoon
Kyun pahle na aayeen tum
Kaise mujhe tum mil gayi
Kismet pe aye na yaqeen

(Ho…)

Main to ye sochta tha ki aaj kal
Upar waale ko fursat nahi
Phir bhi tumhe banake woh
Meri nazar mein chadh gaya
Rutbe mein woh aur badh gaya

(Aa…)
(Ho…)

Badale raaste jharne aur nadi badale reet ki tim tim
Chhedhe zindagi dhool koi nahi badale barkha ki rim jhim
Badalegi rituen ada
Par main rahoongi sada
Usi tarah teri bahon mein bahen daalke
Har lamha har pal

(Aa…)

Zindagi sitar ho gayi
Rim jhim malhar ho gayi
Mujhe aata nahi
Kismet pe apne yaqeen…..yaqeen
Kaise mujhko mil gayi tum

No comments:

The irony of the relationship between technology and idleness

One of the purposes of everyday technology (mobiles, laptops, etc.) is to make us more efficient. But we rarely use our 'freed up&...